Bartao ke rahnuma khatoot

Hum apne tamam members se aala tawaquaat rakhte hain.

Yaad rakhein: Isay halal rakhein!

Hifazati markaz | Bartao ke rahnuma khatoot

Hum aise qabil e ehtram community hone per fakhar karte hain jo Islam ki taleemat ki musbat numayedgi karti hai. Hum ummed karte hain ke hamare membran ek dusre ke sath ehtram aur rahamdili se pesh aayenge.

App par ghalat rawayye ki shikayat (report) karne ka tariqa:

Illustration

Pehla Marhala.

Unki profile par sab se neechay scroll karein.

Illustration

Dusra Marhala.

“Report and block” button par tap karein.

Illustration

Teesra Marhala.

Hamein batayein ke aap unhein kyun report ya block kar rahe hain.

Muzz ke rawaye ke rehnuma usool

Illustration

Uryaniyat ya jinsi mawad ki ijazat nahi hai

Shaistagi barqarar rakhein. Is ka matlab hai ke jinsi noiyat ki koi tasaveer, videos, links ya guftagu ki ijazat nahi hai.

Illustration

Duplicate accounts ki ijazat nahi hai

Members sirf aik account rakh saktay hain. Hamein dhoka dene ki koshish na karein, hamein maloom ho jata hai ke aap ne duplicate account banaya hai.

Illustration

Tashaddud ki ijazat nahi hai

Hum tashaddud ke maamlay mein zero tolerance rakhte hain, bashumool dhamkiyan aur woh mawad jo tashaddud ya dehshat gardi ko farogh deta hai.

Illustration

Nafrat angez guftagu ki ijazat nahi hai

Agar aap jins, nasl, qomiyat, firqay, mazuri, umar ya shahriyat ki bunyad par nafrat ko farogh dete hain to aap par pabandi laga di jaye gi.

Illustration

Spam ki ijazat nahi hai

Agar aap aik hi message baar baar copy aur paste karein ge to aap ko warning di jaye gi. Takhleeqi banein, zaati noiyat ka message bhejein.

Illustration

Jaali profiles ki ijazat nahi hai

Muzz jaali online shanakht banane ki jagah nahi hai. Koi aisa shakhs banne ka dikhawa na karein jo aap nahi hain. Hum par bharosa karein, yahan koi hai jo aap ki asal shakhsiyat ko janna chahta hai.

Illustration

Tashheer ya darkhwast baazi ki ijazat nahi hai

Muzz woh jagah hai jahan aap apne mustaqbil ke shohar ya biwi se milenge, yeh dusri masnooaat bechne ya farogh dene ki jagah nahi hai.

Illustration

Fahashi ya insani smuggling ki ijazat nahi hai

Koi bhi sargarmi jo ghair qanooni jinsi sargarmiyon, insani smuggling ya jinsi istehsaal ko farogh deti ho, fori pabandi ka baais banegi.

Illustration

Maali maloomat ki ijazat nahi hai

Hum un members par fori pabandi lagate hain jo maali maloomat jese bank accounts, PayPal ya Venmo share karte hain.

Illustration

Nabalighon ki ijazat nahi hai

Muzz istemal karne ke liye aap ki umar kam az kam 18 saal honi chahiye. Hum nabalighon ki tasaveer ya videos ki ijazat nahi dete, chahay woh aap ke apne bachay hi kyun na hon.

Illustration

Harasaan karne ki ijazat nahi hai

Bashumool baar baar napasandida rabta aur woh iqdamat jo dusron ke sath badsalooki, dhamki ya tazleel ka baais bante hain.

Illustration

Kasrat-e-izdawaj (Polygamy) ki ijazat nahi hai

Agarchay Islam kasrat-e-izdawaj (aik se ziyada shadiyon) ki ijazat deta hai, lekin yeh un aksar mumalik mein ghair qanooni hai jahan Muzz kaam karta hai. Hum un members ko ijazat nahi dete jo pehle se rishtay mein hain.

Online aur offline apna taqwa barqarar rakhein

Hamare paas is baare main Quran and Piyare Paigambar (SAW) ke hawale se saaf misalain moojood hain ke hum sabhi ko kiya kosis karni chahiye:

وَإِنَّكَ لَعَلَى‏ خُلُقٍ عَظِيمٍ‏

"Aur yaqeeni taur per aap (khud ke) jabta-e-ikhlaq ko sarfaraz karo." (68:4)

Hum dua karte hain ke aap apne taqwa ko aap ke andar aur bahar dono jagah banaye rakhenge. kisi bhi namunasib bartao ke nateeze main a mustqil pabandi aayed ki ja skati hai..

  • Sabhi baat cheet ko Muzz per rakhain take hum aap ko mehfooz rakne ke liye apna kaam kar sakain

  • Hamare rahnuma asool ki khilaf warzi karne wale kisi rawyye ki report karain - Hum har ek report ki tafteesh karte hain

Hum reports ko kaise niptate hain

Rawayye ke qawaid hamare tamam members ke liye Muzz ko mehfooz rakhne ke liye qaim kiye gaye hain.

hamare rahnuma khatoot Muzz ko tamam membran ke liye mahfooz jagah ke tau per banaya gaya hai. Agar hamain bure rawiye ke baare main pata chalta hai ya report milti hai to, hum tahqeeq karenge aur kisi bhi member yahan tak ke Gold subscriberon ko bhi khabardar karne ya mustaqil taur per pabandi lagane ka haq mahfooz rakhenge.

Mazeed maloomat ke liye hamari Hifazati Hidayat parhein

Muslim shadi app
Rishta app
Rishta in Lahore
Rishta Online
Rishta in Karachi
Rishta in Pakistan
Gair shadi shuda musalman
Gair shadi shuda muslim ka app
Muslim shadi
Islami dating
Shia Musalman
Sunni musalman
Muslim dating
Arab main muhabbat
Arab se baat chet
Muslim dating app
Arab dating
Bartao ke rahnuma khatoot | Muzz