Muzz kya hai?
Muzz kya hai
Muzz duniya ki sab se bari Muslim dating aur shadi ki app hai; jis ke duniya bhar mein 6 million se zyada users hain.
Humne Muzz is liye banayi taake ghair shadi shuda Musalman apne mazhabi aqaid ka ehtram karte hue apna behtareen jeevan saathi talash kar sakein.
Hum har roz 500 se zyada khush Muslim joron ko milate hain aur ab tak duniya bhar mein 200,000 se zyada Muslim shadiyon ka zariya ban chuke hain. Kya agla number aap ka hai?
Yeh kaise kaam karti hai
Bas sign up karein aur profiles dekhna shuru karein. Aap foran kai filters istemal kar sakenge jo aap ke liye behtareen profiles talash karne mein madad karte hain; jaise umar, muqam, maslak aur bohat kuch.
Agar koi profile munasib lage, to aap Like par tap kar sakte hain. Warna, profile chhor kar aage barhne ke liye Pass par tap karein.
Agar woh bhi aap ko Like kar dein, to aap dono ka khud ba khud match ho jayega aur aap chat shuru kar sakte hain!
Shuru karein
Aap Muzz app Apple App Store aur Google Play Store se BILKUL MUFT download kar sakte hain. App download karein aur aaj hi ghair shadi shuda Musalmanon se match karna shuru karein!
Can’t find your answer?
If you have questions about how Muzz works, or need technical troubleshooting help, please check out our Help & Support page.